Muharram

Muharram SMS: Text Messages On Muharram

Muharram is one of the holiest Islamic festivals and marks the first month of the Islamic calendar. The occasion commemorates the brutal assassination of Hazrat Imam Hussain Ali, the grandson of Prophet Muhammad. The death of Hazrat Imam Hussain Ali is mourned throughout the world by the Shia community. Sunnis, on the other hand, observe the occasion on a quiet note mainly by offering prayers and reciting verses from the Holy Quran and life of Prophet Muhammad. Muharram is one of the four months considered to be holy as per the calendar. Luxurious delicacies are prepared on this day and distributed among family, friends and the poor. In India, People also exchange greetings to welcome the New Year. Go through the article to find some SMS greetings and text messages on Muharram.

Muharram SMS: Text Messages, SMS Greetings

Salam Ya Husain!
Apni taqdeaer Jagatey hen tere Matam se,
Khoon ki raah bechaty hen tere Matam se,
Apne izhar-e-aqeedat ka saliqa ye hai,
Hum naya Saal manatey hen tere matam se

Janat Ki Aarzu Main
Kahan Ja Rahe Hain Log
Janat To Karbala Main
Khareedi HUSSAIN Ne
Duniya-o-Aakhrat Main
Jo Rehna Ho Chain Se
Jeena ALI Se Seekho
Marna HUSSAIN Se!

Today’s sunset was the last sunset of this ISLAMIC YEAR
&
I pray that all your worries set down with this sunset
&
new beam of new year spread happiness in your life.
(AAMEEN)!
“Happy New Islamic Year”

Sajde se Karbala Ko Bandagi Mil Gayi
Sabar Se Ummat Ko Zindagi Mil Gayi
Ek Chamman Fatima (S.A) Ka Ujra
Magar Sare Islam Ko Zindagi Mil Gayi!

Leta tamaam kaam woh apne wali se hai,
Nisbat har ek imam ki noor-e-jali se hai,
Kul akhtiyaar de diya Hassan-o-Hussain ko,
Deta khuda zaroor hai par milta Ali say hai!

Ae Karbala ke qasr ki mai’maar as’salam…
Ae jur’aton ki aahani deewar as’salam…
Ghurbat may Shahzadi-e Mukhtar as’salam…
Ae ghaaza-e-rukh-e-Shah-e-abraar as’salam…
Jo rang chad chuka tha utarne nahi diya…
Tune kisi Shaheed ko marne nahi diya.

Khoon se Chirag-e-deen jalaya Hussain ne,
Rasm-e-Wafa ko khoob nibhaya Hussain ne…
Khud ko to ek boond bhi pani na mil saka,
Karb-o-Bala ko khoon pilaya Hussain ne…
Aesi namaz kaun parhega jahan mein?
Sajda kiya to sar na uthaya Hussain ne.!
Sab kuch Khuda ki raah mein Qurban kar diya,
Asghar sa phool bhi na bachaya Hussain ne…

Yun hi nahi jahan main
Charcha HUSSAIN ka
Kuch dekh ke hua tha
Zamana HUSSAIN ka
Sar de ke do jahan ki
Hukumat khareed li
Mehenga pada Yazeed ko
Sauda HUSSAIN ka…

Karib Allah ke aao to koi baat bane,
Imaan phir se jagao to koi baat bane,
Lahoo jo beh gaya Karbala me,
Unke Maqsad ko samjho to koi baat bane!

Zarurat thi talwaar ki na aur kisi hathiyar ki
Sirf ek dua thi Karbala mein alamdaar ki
Fakat mil jaye ijazat aqa Hussain se
To yaad dila dunga jung Haider-e-Karrar ki

Pani ka talab ho to ek kaam kia kar.
Karbala ke naam pe ek jam piya kar.
Ki mujhko “Hussain IBN-E-ALI”
Ne yeh naseehat.
Zalim ho muqabil to mera naam liya kar!

Jab bhi kabhi zameer
Ka sauda ho doston
Qayam raho HUSSAIN
Ke inkaar ki tarha!

Check Also

Benefits of Ramadan: Fasting, Devotion, Charity during Ramadan

Benefits of Ramadan: Fasting, Devotion, Charity during Ramadan

Benefits of Ramadan: Ramadan is a period of fasting, reflection, devotion, generosity and sacrifice observed …