बबम बम बबम बम बम लहरी – कैलाश खेर

Kailash KherHaath jod ke bolee kawarja – (2)
tino lok basaaye bastee me – (2)
aap base viraane me ji, aafate viraane me
ajee raam bhajo jee, raam bhajo jee
raam bhajo jee, raam bhajo jee
shiv ka vandan kiya karo
ajee shiv ka vandan kiya karo jee
bagad bam, babam bam babam bam bamleharee – (4)

Meree ek suno antaryaamee, meree ek suno bholeswaamee,
mai toh daasee janam janam kee, mai toh daasee janam janam kee
baalee umar se bhaktee kartee – (2)
tumhe chodke kahee na jaau – (2)
raat diwas tere charan dabaau – (2)
tumhe jo choddu toh mar jaau – (2)
bagad bam, babam bam babam bam bamleharee – (4)

Ek suno na mere bholenaath jee, ek suno na mere dinanaath jee
din bhar main teree bhung ragdungee – (2)
bhung ragdu, tera ragdu dhatura – (2)
taaj karungee tera pura, hukam bajaau tera pura
tujhe pilaau tiragnatiya, tujhe pilaau tiragnatee
aur (jo bach jaave main pee lungee -2)
amrit jaan samajh pee lungee – (2)
sharan me le lo bholenaath, mohe apanee bana lo dinanaath jee
bagad bam, babam bam babam bam bamleharee – (4)

Ek suno jee paarvatee, meree ek suno gora raanee
iss jungle mein tu kya paavegee, kanjdee ban ban mar jaavegee
haathee chitaade, sher dahaude – (2)
asam ramaau, dhunee ramaau, tandav kar-kar damru bajaau
gufa bich mera hai deraaree, abhee samajh ja hey goraaree
abhee maan ja hey gora
mere bhut kee maala gale pad, meree khakkad mala gale padee
unako dekh iss darr jaavegee, mere sang tu kya paave
koyee acha kuwar raaja ko dhundh, koi rup kuwar raaja ko dhundh
tu raanee banke baith mahal – (2)
aree samajh ja hey goraaree, maha maan jaa hey goraaree
bagad bam, babam bam babam bam bamleharee – (4)

∼ कैलाश खेर

Check Also

Good Friday Traditions in Christian Community

Good Friday Traditions in Christian Community

Good Friday Traditions in Christian Community: Christians Culture & Traditions For Good Friday – Good …